Friday, March 19, 2010

Ek baar lautne ka mann karta hai..

Disclaimer
All characters appearing in this work are real. Any resemblance to real persons, living, dead or undead is purely intentional. If you want to sue me, talk to my attorney. No correspondence in this regard would be entertained.

Ek baar lautne ka mann karta hai..
                                              
bas ek bar wapas lautne ka mann karta hai
aaj har wo din jeene ko mann karta hai.
kuch buri batein jo ab acchi lagti hain
kuch batein jo kal ki hi batein lagti hain.
dopahar ki class mein aakhein band karne ko mann karta hai.

college ki wo baatein yaad aati hain..

yaad aata hai kaav kaav karte hue mess tak jana
yaad aata hai ulti chammach se namak wala khana khana
yaad aata hai popli sir ka shaklein banana
aur yaad aata hai lokesh sir ka roz ek graph banwana

college ki wo baatein yaad aati hain..

yaad aata hai baba ki chai pine dighi tak jana
yaad aata hai b'day par beltein khana
yaad aata hai raat raat bhar CS khelna
aur yaad aata hai sahoo ke room mein match ka discussion karna

college ki wo baatein yaad aati hain..

yaad aata hai jaat ke room mein patte khelna
yaad aata hai mallu ka khatmal se pareshaan rehna
yaad aata hai pv ka peeche se aake maarna
aur yaad aata hai thAkur ka din bhar bakar maarna

college ki wo baatein yaad aati hain..

yaad aata hai badey ke baalon ka udna
yaad aata hai dhoke ka sirf upscaled gaane sunna
yaad aata hai sahoo ka big daddy hona
aur yaad aata hai uncle ka har cheez ke crack dhundna

college ki wo baatein yaad aati hain..

yaad aata hai bihari ka muftkhori karna
yaad aata hai vishy ka bas sote hi rehna
yaad aata hai sAm ka sade hue logic dena
aur yaad aata hai dash se roz ladai karna

college ki wo baatein yaad aati hain..

yaad aata hai malli aur vidit ka google talk pe love triangle banana
yaad aata hai chandu ka meethi aawaz mein chillana
yaad aata hai sardar ka workshop mein ghisna
aur yaad aata hai tunnu ka din mein sau baar hi, bye kehna

na chahte hue bhi yaad aata hai mera har baat mein gussa karna

college ki wo baatein yaad aati hain..

yaad aata hai shere mein party karne jana
yaad aata hai football khelna
yaad aata hai chath par nautanki karna
aur yaad aata hai dighi pahadi chaddna

college ki wo baatein yaad aati hain..

ek aisi subah uthne ka mann karta hai
bas ek bar wapas lautne ka mann karta hai.

bas ek bar aur
wapas lautne ka mann karta hai..

Dedicated to You-Know-Who

5 comments:

  1. subah kitne baje uthta hai? 6 am pe post nahin karna chahiye :)

    ReplyDelete
  2. amazing.. brought back all the memories..!!

    ReplyDelete
  3. nice one...
    me also missing clg too dude!

    ReplyDelete
  4. this is gold mine...apt for the cliched "abe rulayega kya"
    -sAm

    ReplyDelete